Dil ki gehrayiyon me jab dastak deti hai tanhayi,
Sawaalon ke sailab khauf khata yeh chota sa dil,
Zindagi kin andheri galiyaron se chalkar is maud pe hai ayi.
Masoom, umardaraaz, unch neech ka na karte hue lihaaz, maut ka saya apni bina aahat wali kadamon se saikdon ko lekar jaata hume is asmanjhas me chor jata ki ab kiski hai baari.
Safed chadar me lipto hui lashe, kuch apno ki kuch anjaan ki, hai to saare insaan hi.
Na kisi ka mazhab poocha na kisi ka rang,
Corona ke dehshat ne sab hi ko kiya tang
Bun gaya dawai ki paheli, kabhi na machi hogi aisi ek huddang.
Woh dabang sipahi, woh dariyadili sevak, woh raubeele wardi walo ko mera salaam, jinhone na kiya koi phikra ki kya hoga unka anzaam.
Na baba ke jhaad se, na kisi dawai ke vaar se, na maa ke ashirwad ya dular se ho rehi hai yeh takleef kam,
Ab to tu hi malik hai maula, tera hi hai raham or karam.
Hamare ku karamon ne apna parinam dikhaya, poore insaan samooh ko nigal ke khaya,
Phansi hai isi ke ilaaz me sab ki jaan,
Hum sab hai hatash aur pareshan.
Na koi bandhu na koi sanghi sathi,
Tu baitha hai chati pe jaise koi ek hathi,
Prakriti ki lalkaro ka mazaak udate hue hum prani
Kitne ho gaye the agyani
Waqt ki maar ne hume aisa ronda is baar
Kar li hai humne apni galti sweekar.
Ab shama kar do prabhu, bhool ho gayi hai humse
Is sankat se karo hume muqt na bahao aur laghu.

No comments:
Post a Comment